Monday, April 13, 2020


Kya hai meri khwahishein
Meri zindagi ki ibadatein
Meri harkato mein hai chupi
Kuch Bachkaani shararatein

Un kagaz ki kashtiyon ke tairne ki duaayein
Wo ithlaati nanhi ungliyon ki adaayein
Wo pariyon ki kahaaniyon me jeene ki aadatein
Un kahaaniyon mein shaamil meethi shararatein


Phir aayi wo tanhaa raatein, karvatein
Jin mein dagmaye kadam aur kabhi sambhle
Taare jab gine Maine kisi ke saath
Dekhe kuch khwaab aur payi kuch saugaat

Magar chhoot gayi wo khwahishein aaya aisa mod
Kuch muqabla Khud se tha aur kuch duniya se hod
Koi peeche reh Gaya aur koi aage nikal aaya tha
Yeh nukhs bhi shayad doori nahi daur hi laya tha

Raahon ki mushkilon ka humein kabhi gham na tha
Tum jaisa mila kuch pal humsafar ye bhi kam na tha
Kuch aahista chale ye raahein agar
Kharid lu kuch waqt bant lu thodi fikar

Ab pukarta hu ..

No comments: